hujum-e-gham ko hum to zist ka hasil samajhte hain
hujūm-e-ġham ko ham to ziist kā hāsil samajhte haiñ
ye alfāz-e-digar tūfān ko sāhil samajhte haiñ
rah-e-ulfat meñ aise bhī maqām aa jaate haiñ aksar
jahāñ āh-o-fuġhāñ ko ham sukūn-e-dil samajhte haiñ
asīrān-e-qafas kī himmat-e-mardāna to dekho
qafas kī qaid ko āzādi-e-kāmil samajhte haiñ
vo kyā pahuñcheñge manzil par vo kyā pā.eñge manzil ko
jo rahzan ko bhī apnā rahbar-e-kāmil samajhte haiñ
unheñ parvā-e-jor-e-charḳhe--gardūñ ho nahīñ saktī
jo ranj-o-ġham ko bhī vaj.h-e-sukūn-e-dil samajhte haiñ
kahāñ maiñ aur kahāñ sher-o-suḳhan kī anjuman 'paikāñ'
ba-faiz-e-tab.a-e-mauzūñ hai jo ahl-e-dil samajhte haiñ
hujum-e-gham ko hum to zist ka hasil samajhte hain
ye alfaz-e-digar tufan ko sahil samajhte hain
rah-e-ulfat mein aise bhi maqam aa jate hain aksar
jahan aah-o-fughan ko hum sukun-e-dil samajhte hain
asiran-e-qafas ki himmat-e-mardana to dekho
qafas ki qaid ko aazadi-e-kaamil samajhte hain
wo kya pahunchenge manzil par wo kya paenge manzil ko
jo rahzan ko bhi apna rahbar-e-kaamil samajhte hain
unhen parwa-e-jor-e-charKHe--gardun ho nahin sakti
jo ranj-o-gham ko bhi wajh-e-sukun-e-dil samajhte hain
kahan main aur kahan sher-o-suKHan ki anjuman 'paikan'
ba-faiz-e-taba-e-mauzun hai jo ahl-e-dil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.