hujum-e-gham mein jina kis qadar sabr aazma hota
hujum-e-gham mein jina kis qadar sabr aazma hota
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
hujūm-e-ġham meñ jiinā kis qadar sabr aazmā hotā
agar dard-e-mohabbat se ye dil nā-āshnā hotā
mirī laġhzish ne rangīñ kar diyā har naqsh-e-hastī ko
yahāñ hū kā samāñ hotā agar maiñ pārsā hotā
tamanna ḳhud-farebī aarzū hai jaan kī dushman
masarrat dil ko denā thī to bas ġham hī diyā hotā
ye insān apnī duniyā ko tabāhī se bachā letā
agar fikr-e-jazā hotī agar ḳhauf-e-ḳhudā hotā
kareñ kyā ham bhī haiñ majbūr dil se varna ai hamdam
tirī har baat sun lete agar dil dūsrā hotā
ḳhushā-qismat junūn-e-justujū thā saath saath apnī
vagarna rahnumā ne to hameñ bhaTkā diyā hotā
kahāñ thā hausla kaise guzartī zindagī yā-rab
agar faiz-e-mohabbat kā na dil ko aasrā hotā
bas ik zauq-e-tamannā ne kiyā rusvā mujhe varna
na taklīf-e-fanā hotī na armān-e-baqā hotā
ilaaj apne kiye kā kuchh nahīñ duniyā meñ 'āshufta'
na ham iz.hār-e-ġham karte na koī ḳhud-numā hotā
hujum-e-gham mein jina kis qadar sabr aazma hota
agar dard-e-mohabbat se ye dil na-ashna hota
meri laghzish ne rangin kar diya har naqsh-e-hasti ko
yahan hu ka saman hota agar main parsa hota
tamanna KHud-farebi aarzu hai jaan ki dushman
masarrat dil ko dena thi to bas gham hi diya hota
ye insan apni duniya ko tabahi se bacha leta
agar fikr-e-jaza hoti agar KHauf-e-KHuda hota
karen kya hum bhi hain majbur dil se warna ai hamdam
teri har baat sun lete agar dil dusra hota
KHusha-qismat junun-e-justuju tha sath sath apni
wagarna rahnuma ne to hamein bhaTka diya hota
kahan tha hausla kaise guzarti zindagi ya-rab
agar faiz-e-mohabbat ka na dil ko aasra hota
bas ek zauq-e-tamanna ne kiya ruswa mujhe warna
na taklif-e-fana hoti na arman-e-baqa hota
ilaj apne kiye ka kuchh nahin duniya mein 'ashufta'
na hum izhaar-e-gham karte na koi KHud-numa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.