hujum-e-gham se shikayat na ab tere dar se
hujūm-e-ġham se shikāyat na ab tire dar se
nahīñ hai vāsta ab kuchh bhī 'ishq ke zar se
dil-e-asīr ko mere bahār-e-gul se kyā
ye ḳhema-gāh hai ābād yād-e-dilbar se
safar-nazhād thā āzād ḳhud ko rakkhā tabhī
vagarna kaun nikaltā bhare-pure ghar se
gila bhī karne ko koī nahīñ javāz yahāñ
rahe bhī kaise koī duur us sitamgar se
Darā rahā hai vo kār-e-junūñ se mujh ko 'ahad'
nikāltā nahīñ par mujh ko ātishīñ ghar se
hujum-e-gham se shikayat na ab tere dar se
nahin hai wasta ab kuchh bhi 'ishq ke zar se
dil-e-asir ko mere bahaar-e-gul se kya
ye KHema-gah hai aabaad yaad-e-dilbar se
safar-nazhad tha aazad KHud ko rakkha tabhi
wagarna kaun nikalta bhare-pure ghar se
gila bhi karne ko koi nahin jawaz yahan
rahe bhi kaise koi dur us sitamgar se
Dara raha hai wo kar-e-junun se mujh ko 'ahad'
nikalta nahin par mujh ko aatishin ghar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.