hujum-e-ham-nafsan chaara-e-alam na hua
hujūm-e-ham-nafsāñ chāra-e-alam na huā
ki is tarah ġham-e-tanhā-ravī to kam na huā
na pūchh dasht-e-talab meñ matā-e-dāman-e-zīst
ye taar taar to hotā rahā pa nam na huā
likhī ga.ī haiñ junūñ kī hikāyateñ kyā kyā
magar vo qissa-e-ġham jo kabhī raqam na huā
milī na ābla-pāyān-e-shauq ko manzil
ki fāsloñ kī tarah hausla bhī kam na huā
rah-e-talab meñ hai āsūda-hāl mauj-ba-jism
ḳhudā ḳhudā hī rahā aur sanam sanam na huā
vo kaun haiñ ki havas raas aa ga.ī hai jinheñ
yahāñ to 'ishq bhī chāra-gar-e-alam na huā
gumāñ huā mujhe ehsān-e-nā-shanāsī kā
jo ḳhud-baḳhud koī āmāda-e-sitam na huā
hujum-e-ham-nafsan chaara-e-alam na hua
ki is tarah gham-e-tanha-rawi to kam na hua
na puchh dasht-e-talab mein mata-e-daman-e-zist
ye tar tar to hota raha pa nam na hua
likhi gai hain junun ki hikayaten kya kya
magar wo qissa-e-gham jo kabhi raqam na hua
mili na aabla-payan-e-shauq ko manzil
ki faslon ki tarah hausla bhi kam na hua
rah-e-talab mein hai aasuda-haal mauj-ba-jism
KHuda KHuda hi raha aur sanam sanam na hua
wo kaun hain ki hawas ras aa gai hai jinhen
yahan to 'ishq bhi chaara-gar-e-alam na hua
guman hua mujhe ehsan-e-na-shanasi ka
jo KHud-baKHud koi aamada-e-sitam na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.