hujum-e-ranj se dil ko masarrat hoti jati hai
hujūm-e-rañj se dil ko masarrat hotī jaatī hai
ki mujh par aa.ina apnī haqīqat hotī jaatī hai
ye kis ta.amīr-e-nāqis kī bharī jaatī haiñ buniyādeñ
ki duniyā be-charāġh-e-ādmiyat hotī jaatī hai
vo be-parda harīm-e-shā.irī meñ aate jaate haiñ
murattab merī tārīḳh-e-mohabbat hotī jaatī hai
maiñ jitnā un ke asbāb-e-jafā par ġhaur kartā huuñ
mujhe apnī vafāoñ par nadāmat hotī jaatī hai
ba-īñ hālāt-e-māyūsī ba-īñ ausāf-e-mahrūmī
mohabbat hai ki muhtāj-e-mohabbat hotī jaatī hai
zabāñ sī leñ tire kahne se lekin is ko kyā kiije
shikāyat jab nahīñ hotī hikāyat hotī jaatī hai
hai merā ishq yak dar-gīr mohkam-gīr se baalā
mirī nazroñ meñ duniyā ḳhūbsūrat hotī jaatī hai
are tauba gunāhoñ ke siyah-ḳhvāboñ se bedārī
ki āñkheñ khultī jaatī haiñ nadāmat hotī jaatī hai
yūñhī tajdīd-e-paimān-e-vafā kiije mire ham-dam
baḌī āsān tashrīh-e-mohabbat hotī jaatī hai
mohabbat rafta rafta Dhal rahī hai vaza-dārī meñ
ye kis raftār se barpā qayāmat hotī jaatī hai
jise tasvīr kahnā kufr hai ā.īn-e-ulfat meñ
vahī tanvīr ma.abūd-e-mohabbat hotī jaatī hai
ma.āl-e-ranj-o-rāhat dekhtā jaatā hai dil jitnā
tamannā tamannā-e-ranj-o-rāhat hotī jaatī hai
na ho mere na tum mujh ko kisī kā hone dete ho
qayāmat kyā ye bālā-e-qayāmat hotī jaatī hai
beham-dillāh maiñ 'ehsān' is manzil pe aa pahuñchā
musībat jab nahīñ hotī musībat hotī jaatī hai
hujum-e-ranj se dil ko masarrat hoti jati hai
ki mujh par aaina apni haqiqat hoti jati hai
ye kis tamir-e-naqis ki bhari jati hain buniyaaden
ki duniya be-charagh-e-admiyat hoti jati hai
wo be-parda harim-e-shairi mein aate jate hain
murattab meri tariKH-e-mohabbat hoti jati hai
main jitna un ke asbab-e-jafa par ghaur karta hun
mujhe apni wafaon par nadamat hoti jati hai
ba-in haalat-e-mayusi ba-in ausaf-e-mahrumi
mohabbat hai ki muhtaj-e-mohabbat hoti jati hai
zaban si len tere kahne se lekin is ko kya kije
shikayat jab nahin hoti hikayat hoti jati hai
hai mera ishq yak dar-gir mohkam-gir se baala
meri nazron mein duniya KHubsurat hoti jati hai
are tauba gunahon ke siyah-KHwabon se bedari
ki aankhen khulti jati hain nadamat hoti jati hai
yunhi tajdid-e-paiman-e-wafa kije mere ham-dam
baDi aasan tashrih-e-mohabbat hoti jati hai
mohabbat rafta rafta Dhal rahi hai waza-dari mein
ye kis raftar se barpa qayamat hoti jati hai
jise taswir kahna kufr hai aain-e-ulfat mein
wahi tanwir mabud-e-mohabbat hoti jati hai
maal-e-ranj-o-rahat dekhta jata hai dil jitna
tamanna tamanna-e-ranj-o-rahat hoti jati hai
na ho mere na tum mujh ko kisi ka hone dete ho
qayamat kya ye baala-e-qayamat hoti jati hai
beham-dillah main 'ehsan' is manzil pe aa pahuncha
musibat jab nahin hoti musibat hoti jati hai
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 319)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.