hujum-e-shauq ne ruswa kiya kya
hujūm-e-shauq ne rusvā kiyā kyā
maiñ kyā kahne ko thā aur kah gayā kyā
guloñ kā ḳhuuñ gulistāñ kī tabāhī
manāzir sāmne aa.e haiñ kyā kyā
junūn-e-rah-ravī apnā salāmat
kareñge rahnumā.ī rahnumā kyā
kañval ke phuul par shabnam ke qatre
ġhurūr-e-husn ko āḳhir huā kyā
nazar meñ thā jamāl-e-sad-bahārāñ
maiñ sū-e-gul palaT kar dekhtā kyā
tumhārī be-ruḳhī allāh rakkhe
mirī betābiyoñ kā tazkira kyā
jise raushan kiyā thā ḳhūn-e-dil se
'hasan' bujhne lagā vo bhī diyā kyā
hujum-e-shauq ne ruswa kiya kya
main kya kahne ko tha aur kah gaya kya
gulon ka KHun gulistan ki tabahi
manazir samne aae hain kya kya
junun-e-rah-rawi apna salamat
karenge rahnumai rahnuma kya
kanwal ke phul par shabnam ke qatre
ghurur-e-husn ko aaKHir hua kya
nazar mein tha jamal-e-sad-bahaaran
main su-e-gul palaT kar dekhta kya
tumhaari be-ruKHi allah rakkhe
meri betabiyon ka tazkira kya
jise raushan kiya tha KHun-e-dil se
'hasan' bujhne laga wo bhi diya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.