hujum-e-yas ne ghera to kaise muskuraoge
hujūm-e-yās ne gherā to kaise muskurāoge
jo abr-e-ashk aa barsā kahāñ is ko chhupāoge
mirī bāteñ mirī chāhat mirī sargoshiyāñ jānāñ
chalegī jab havā tham tham to aahaT merī pāoge
ye jugnū aur sitāre chāñdnī rāteñ sabhī hoñge
ye sab mausam hamāre haiñ hameñ kyūñkar bhulāoge
hai tanhā.ī hameñ pyārī yahī baḳhshish hai duniyā kī
mohabbat ke taqāzoñ ko magar tum kyā nibhāoge
chale aate haiñ ghar vāpas parinde shaam ko saare
mirā ghar ai 'bahār' aa ke na jaane kab basāoge
hujum-e-yas ne ghera to kaise muskuraoge
jo abr-e-ashk aa barsa kahan is ko chhupaoge
meri baaten meri chahat meri sargoshiyan jaanan
chalegi jab hawa tham tham to aahaT meri paoge
ye jugnu aur sitare chandni raaten sabhi honge
ye sab mausam hamare hain hamein kyunkar bhulaoge
hai tanhai hamein pyari yahi baKHshish hai duniya ki
mohabbat ke taqazon ko magar tum kya nibhaoge
chale aate hain ghar wapas parinde sham ko sare
mera ghar ai 'bahaar' aa ke na jaane kab basaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.