hukm kya de kisi ko wo jis ki
hukm kyā de kisī ko vo jis kī
umr guzrī hai iltijāoñ meñ
dukh to is baat kā har ik ko hai
kyoñ asar ab nahīñ duāoñ meñ
hai bahut hī kaThin vafā kī Dagar
dekh chhāle haiñ kitne paañv meñ
kyā saheñge vo dhuup kī tezī
paañv jalte haiñ jin ke chhāñv meñ
ab na vo sādgī na mehr-o-vafā
kis qadar thā ḳhulūs gaañv meñ
kitnī mushkil se chal rahī hai ġhazal
zaḳhm kitne lage haiñ paañv meñ
ab ye urdu zabāñ kā aalam hai
shahr simTā ho jaise gaañv meñ
zindagī ko milā hai chain kahāñ
aa ga.ī jab azal kī chhāñv meñ
iltijā ye 'shafaq' kī sab se hai
yaad rakhnā ise duāoñ meñ
hukm kya de kisi ko wo jis ki
umr guzri hai iltijaon mein
dukh to is baat ka har ek ko hai
kyon asar ab nahin duaon mein
hai bahut hi kaThin wafa ki Dagar
dekh chhaale hain kitne panw mein
kya sahenge wo dhup ki tezi
panw jalte hain jin ke chhanw mein
ab na wo sadgi na mehr-o-wafa
kis qadar tha KHulus ganw mein
kitni mushkil se chal rahi hai ghazal
zaKHm kitne lage hain panw mein
ab ye urdu zaban ka aalam hai
shahr simTa ho jaise ganw mein
zindagi ko mila hai chain kahan
aa gai jab azal ki chhanw mein
iltija ye 'shafaq' ki sab se hai
yaad rakhna ise duaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.