hukumat jashn ka bais nahin hai zimmedari hai
hukūmat jashn kā bā'is nahīñ hai zimmedārī hai
ye manzil ḳhud-numā.ī kī nahīñ hai ḳhāksārī hai
chalo ham ye nahīñ kahte ki sab kī sab hamārī hai
magar apnī bhī is duniyā meñ thoḌī hisse-dārī hai
koī naukar nahīñ rakkhā koī chākar nahīñ rakkhā
ki ham ne ḳhud hī apnī jhoñpḌī jhāḌī buhārī hai
kisī bhī bhakt ko mushkil hai koī baat samjhānā
usī ko māntā hai devtā jis kā pujārī hai
kalī chūmī kisī ne aur kisī ne phuul ko chūmā
na har bhañvrā kuñvārā hai na har titlī kuñvārī hai
hameñ hindostānī desh meñ koī nahīñ kahtā
koī kahtā hai u.p kā koī kahtā bihārī hai
hukumat jashn ka ba'is nahin hai zimmedari hai
ye manzil KHud-numai ki nahin hai KHaksari hai
chalo hum ye nahin kahte ki sab ki sab hamari hai
magar apni bhi is duniya mein thoDi hisse-dari hai
koi naukar nahin rakkha koi chaakar nahin rakkha
ki hum ne KHud hi apni jhonpDi jhaDi buhaari hai
kisi bhi bhakt ko mushkil hai koi baat samjhana
usi ko manta hai dewta jis ka pujari hai
kali chumi kisi ne aur kisi ne phul ko chuma
na har bhanwra kunwara hai na har titli kunwari hai
hamein hindostani desh mein koi nahin kahta
koi kahta hai up ka koi kahta bihaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.