hunar jab fan mein Dhalta hai baDi taklif hoti hai
hunar jab fan meñ Dhaltā hai baḌī taklīf hotī hai
ragoñ kā ḳhuun jaltā hai baḌī taklīf hotī hai
ġhazal-goī ko kyā tum ne bahut āsān samjhā hai
jab is meñ dil pighaltā hai baḌī taklīf hotī hai
jo shab-bedār hote haiñ ye un ke dil se pūchho tum
ki jab sūraj nikaltā hai baḌī taklīf hotī hai
chaman ke saare phūloñ se mohabbat hai mujhe lekin
koī un ko masaltā hai baḌī taklīf hotī hai
jise dil meñ basā ke ham ne palkoñ par sajāyā thā
vo hī armāñ kuchaltā hai baḌī taklīf hotī hai
unheñ bātoñ hī bātoñ meñ ham aksar chhū to lete haiñ
magar jab haath jaltā hai baḌī taklīf hotī hai
sunahrī dhuup meñ ham 'faiz' us ke saath rahte haiñ
magar jab vaqt Dhaltā hai baḌī taklīf hotī hai
hunar jab fan mein Dhalta hai baDi taklif hoti hai
ragon ka KHun jalta hai baDi taklif hoti hai
ghazal-goi ko kya tum ne bahut aasan samjha hai
jab is mein dil pighalta hai baDi taklif hoti hai
jo shab-bedar hote hain ye un ke dil se puchho tum
ki jab suraj nikalta hai baDi taklif hoti hai
chaman ke sare phulon se mohabbat hai mujhe lekin
koi un ko masalta hai baDi taklif hoti hai
jise dil mein basa ke hum ne palkon par sajaya tha
wo hi arman kuchalta hai baDi taklif hoti hai
unhen baaton hi baaton mein hum aksar chhu to lete hain
magar jab hath jalta hai baDi taklif hoti hai
sunahri dhup mein hum 'faiz' us ke sath rahte hain
magar jab waqt Dhalta hai baDi taklif hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.