hunar ke sath agar hausle nikalte hain
hunar ke saath agar hausle nikalte haiñ
to ḳhud-baḳhud hī na.e rāste nikalte haiñ
ziyāda dukh ho agar aadmī ke jīvan meñ
to phir ġhazal meñ ka.ī zāviye nikalte haiñ
daraḳht sūkhne vaale haiñ par ḳhushī hai unheñ
ki naunihāl ke sab phal pake nikalte haiñ
ho apnā kaam to kuchh sūjhtā nahī ham ko
vagarna māñge binā mashvare nikalte haiñ
ki pahle pyaar ko kitnā bhī koī yaad kare
isī meñ sab se adhik sānahe nikalte haiñ
hunar ke sath agar hausle nikalte hain
to KHud-baKHud hi nae raste nikalte hain
ziyaada dukh ho agar aadmi ke jiwan mein
to phir ghazal mein kai zawiye nikalte hain
daraKHt sukhne wale hain par KHushi hai unhen
ki naunihaal ke sab phal pake nikalte hain
ho apna kaam to kuchh sujhta nahi hum ko
wagarna mange bina mashware nikalte hain
ki pahle pyar ko kitna bhi koi yaad kare
isi mein sab se adhik sanahe nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.