hunar ko lams-e-maani se mein gulab karun
hunar ko lams-e-ma.ānī se meñ gulāb karūñ
haiñ lafz apne sabhī kis kā intiḳhāb karūñ
jo chup rahūñ to ta.alluq pe bojh ban jā.ūñ
kahūñ to jurm kā jaise maiñ irtikāb karūñ
ḳharāsheñ Daal ke chehre pe jā rahā hai vaqt
palaT ke dekhe vo mujh ko to ehtisāb karūñ
tū jal ke bujh gayā kaise mire lahū ke charāġh
bayāz-e-dard tire naam intisāb karūñ
ajiib nashsha-e-hairat hai us kī āñkhoñ meñ
kabhī vo mujh ko de mauqa to lā-javāb karūñ
hunar ko lams-e-maani se mein gulab karun
hain lafz apne sabhi kis ka intiKHab karun
jo chup rahun to talluq pe bojh ban jaun
kahun to jurm ka jaise main irtikab karun
KHarashen Dal ke chehre pe ja raha hai waqt
palaT ke dekhe wo mujh ko to ehtisab karun
tu jal ke bujh gaya kaise mere lahu ke charagh
bayaz-e-dard tere nam intisab karun
ajib nashsha-e-hairat hai us ki aankhon mein
kabhi wo mujh ko de mauqa to la-jawab karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.