hunar nahin jo hawaon ke par katarne ka
hunar nahīñ jo havāoñ ke par katarne kā
rahegā ḳhauf hamesha hī bujh ke marne kā
ham ā.inoñ ke muḳhātab na ho sakeñge kabhī
hameñ to ḳhatra hai apnā naqāb utarne kā
vafā kī raah pe marnā bhī thā mujhe manzūr
koī to hogā sabab mere ab mukarne kā
darāḌ baḌhtī hai baḌh jaa.e bad-gumānī kī
irāda merā bhī un se na baat karne kā
baheliye kī kahānī se hī Dare taa.ir
rahā na hausla un meñ uḌaan bharne kā
na us ne dil se mujhe rokne kī koshish kī
na mere paas samay thā vahāñ Thaharne kā
safed hone lagīñ haiñ hamārī bhī qalameñ
nishān paḌne lagā vaqt ke guzarne kā
falak se rahh-numā.ī 'dinesh' ne kī thī
savāl uThtā kahāñ zulmatoñ se Darne kā
hunar nahin jo hawaon ke par katarne ka
rahega KHauf hamesha hi bujh ke marne ka
hum aainon ke muKHatab na ho sakenge kabhi
hamein to KHatra hai apna naqab utarne ka
wafa ki rah pe marna bhi tha mujhe manzur
koi to hoga sabab mere ab mukarne ka
daraD baDhti hai baDh jae bad-gumani ki
irada mera bhi un se na baat karne ka
baheliye ki kahani se hi Dare tair
raha na hausla un mein uDan bharne ka
na us ne dil se mujhe rokne ki koshish ki
na mere pas samay tha wahan Thaharne ka
safed hone lagin hain hamari bhi qalamen
nishan paDne laga waqt ke guzarne ka
falak se rahh-numai 'dinesh' ne ki thi
sawal uThta kahan zulmaton se Darne ka
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.