hunar-pasand hunar aazma ke dekhte hain
hunar-pasand hunar aazmā ke dekhte haiñ
nishāna-bāz nishāna lagā ke dekhte haiñ
vo pārsā jinheñ duniyā salām kartī hai
tumhāre husn ko āñkheñ churā ke dekhte haiñ
miyāñ charāġh se āñkheñ milā ke dekh chuke
ab āftāb se āñkheñ milā ke dekhte haiñ
hamārī baat alag hai faqīr haiñ ham log
ham āsmānoñ ke parde uThā ke dekhte haiñ
tū e'tibār ke qābil hai be-zabān hai tū
tujhe ham apnī kahānī sunā ke dekhte haiñ
vo log jin ko basīrat 'atā huī hai 'samar'
har ek chiiz meñ jalve ḳhudā ke dekhte haiñ
hunar-pasand hunar aazma ke dekhte hain
nishana-baz nishana laga ke dekhte hain
wo parsa jinhen duniya salam karti hai
tumhaare husn ko aankhen chura ke dekhte hain
miyan charagh se aankhen mila ke dekh chuke
ab aaftab se aankhen mila ke dekhte hain
hamari baat alag hai faqir hain hum log
hum aasmanon ke parde uTha ke dekhte hain
tu e'tibar ke qabil hai be-zaban hai tu
tujhe hum apni kahani suna ke dekhte hain
wo log jin ko basirat 'ata hui hai 'samar'
har ek chiz mein jalwe KHuda ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.