hur kah rahe hain aag se maula nikal den
hur kah rahe haiñ aag se maulā nikāl deñ
aasī huuñ merā naam shahīdoñ meñ Daal deñ
maqtal meñ al-amāñ kā hai ab shor chār-sū
mujh ko saḳhī ye tiir kamāñ aur Dhaal deñ
āl-e-nabī bhī naaz kare us ke baḳht par
apnā vo jis ke vāste biibī rumāl deñ
aañsū bahā ke hazrat-e-hur ne yahī kahā
abbās-e-bā-vafā mujhe auj-e-kamāl deñ
likhtā hai ye qasīde shab-o-roz aap ke
maulā 'sahar' ke fan ko sanad lā-zavāl deñ
hur kah rahe hain aag se maula nikal den
aasi hun mera nam shahidon mein Dal den
maqtal mein al-aman ka hai ab shor chaar-su
mujh ko saKHi ye tir kaman aur Dhaal den
aal-e-nabi bhi naz kare us ke baKHt par
apna wo jis ke waste bibi rumal den
aansu baha ke hazrat-e-hur ne yahi kaha
abbas-e-ba-wafa mujhe auj-e-kamal den
likhta hai ye qaside shab-o-roz aap ke
maula 'sahar' ke fan ko sanad la-zawal den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.