huruf arz talab ki surat guzarte lamhon ka KHwab likhna
hurūf arz talab kī sūrat guzarte lamhoñ kā ḳhvāb likhnā
hamārī āñkhoñ ke sāmne hī hamāre dil kī kitāb likhnā
kisī kī nazroñ kī narm bārish se jab bhī bhīge badan kī miTTī
sulagtī sāñsoñ ke pairahan par hadīs-e-husn-o-shabāb likhnā
hamāre hoñToñ kī tishna-kāmī tumhārī āñkhoñ se jab bhī lapke
kahīñ ye titlī kahīñ pe ġhuncha kahīñ shagufta gulāb likhnā
kabhī haqīqat se khel lenā kabhī ulajhnā majāz se tum
kabhī kisī se karam kī ḳhvāhish kabhī kisī se azaab likhnā
mujhe tum itnī bulandiyoñ par na laao ki maiñ ḳhudā nahīñ huuñ
mirī haqīqat ke hāshiye meñ mire fasāne kā baab likhnā
tum apne jiite gharoñ meñ apne gharoñ kī sāzish bhī karnā shāmil
ukhaḌte ḳhemoñ kī qīmatoñ meñ 'asad' fareb-e-tanāb likhnā
huruf arz talab ki surat guzarte lamhon ka KHwab likhna
hamari aankhon ke samne hi hamare dil ki kitab likhna
kisi ki nazron ki narm barish se jab bhi bhige badan ki miTTi
sulagti sanson ke pairahan par hadis-e-husn-o-shabab likhna
hamare honTon ki tishna-kaami tumhaari aankhon se jab bhi lapke
kahin ye titli kahin pe ghuncha kahin shagufta gulab likhna
kabhi haqiqat se khel lena kabhi ulajhna majaz se tum
kabhi kisi se karam ki KHwahish kabhi kisi se azab likhna
mujhe tum itni bulandiyon par na lao ki main KHuda nahin hun
meri haqiqat ke hashiye mein mere fasane ka bab likhna
tum apne jite gharon mein apne gharon ki sazish bhi karna shamil
ukhaDte KHemon ki qimaton mein 'asad' fareb-e-tanab likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.