hushyar hain to hum ko bahak jaana chahiye
hushyār haiñ to ham ko bahak jaanā chāhiye
be-samt rāsta hai bhaTak jaanā chāhiye
dekho kahīñ piyāle meñ koī kamī na ho
labrez ho chukā to chhalak jaanā chāhiye
harf-e-rajaz se yuuñ nahīñ hotā koī kamāl
bātin tak is sadā kī dhamak jaanā chāhiye
girtā nahīñ masāf meñ bismil kisī tarah
ab dast-e-neza-kār ko thak jaanā chāhiye
tai ho chuke sab ābla-pā.ī ke marhale
ab ye zamīñ gulāboñ se Dhak jaanā chāhiye
shāyad pas-e-ġhubār tamāshā dikhā.ī de
is rah-guzar pe duur talak jaanā chāhiye
hushyar hain to hum ko bahak jaana chahiye
be-samt rasta hai bhaTak jaana chahiye
dekho kahin piyale mein koi kami na ho
labrez ho chuka to chhalak jaana chahiye
harf-e-rajaz se yun nahin hota koi kamal
baatin tak is sada ki dhamak jaana chahiye
girta nahin masaf mein bismil kisi tarah
ab dast-e-neza-kar ko thak jaana chahiye
tai ho chuke sab aabla-pai ke marhale
ab ye zamin gulabon se Dhak jaana chahiye
shayad pas-e-ghubar tamasha dikhai de
is rah-guzar pe dur talak jaana chahiye
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 59)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.