hushyari-e-junun ko hai saman se ehtiraaz
hushyārī-e-junūñ ko hai sāmāñ se ehtirāz
dāmāñ se ehtirāz garebāñ se ehtirāz
dil ko mire hai dard-e-farāvāñ se ehtirāz
ye is liye ki hai use darmāñ se ehtirāz
hai ro.ab-e-husn par ye bharosa use ki hai
darbāñ se ehtirāz nigahbāñ se ehtirāz
vo rashk-e-sad-bahār tasavvur meñ hai mire
mujh ko bajā hai sair-e-gulistāñ se ehtirāz
hai garmī-e-bayān-e-mohabbat pe ab hayāt
karnā paḌā hai sohbat-e-ḳhūbāñ se ehtirāz
hāsil kahīñ na ishq kā ban jaa.e ḳhud hī ishq
is ḳhauf se hai ulfat-e-ḳhūbāñ se ehtirāz
'bedil' ne apnā haal jo sheroñ meñ kah diyā
karne lagā hai ab vo ġhazal-ḳhvāñ se ehtirāz
hushyari-e-junun ko hai saman se ehtiraaz
daman se ehtiraaz gareban se ehtiraaz
dil ko mere hai dard-e-farawan se ehtiraaz
ye is liye ki hai use darman se ehtiraaz
hai roab-e-husn par ye bharosa use ki hai
darban se ehtiraaz nigahban se ehtiraaz
wo rashk-e-sad-bahaar tasawwur mein hai mere
mujh ko baja hai sair-e-gulistan se ehtiraaz
hai garmi-e-bayan-e-mohabbat pe ab hayat
karna paDa hai sohbat-e-KHuban se ehtiraaz
hasil kahin na ishq ka ban jae KHud hi ishq
is KHauf se hai ulfat-e-KHuban se ehtiraaz
'bedil' ne apna haal jo sheron mein kah diya
karne laga hai ab wo ghazal-KHwan se ehtiraaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.