husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe
husn āñkhoñ meñ rahe dil meñ javānī to rahe
zindagānī tere hone kī nishānī to rahe
us kī ḳhātir to gavārā koī ban-bās bhī hai
sab ke hoñToñ pe mirī rām-kahānī to rahe
zabt meñ ye bhī hai goyā.ī kā apnā andāz
lab hoñ ḳhāmosh magar ashk-fishānī to rahe
gar ujāloñ se gurezāñ hai dhuñdlakoñ meñ to aa
din ba-har-taur kaTā shaam suhānī to rahe
tū na shīrīñ na maiñ farhād magar yuuñ to mileñ
ham raheñ yā na raheñ apnī kahānī to rahe
aao kuchh der kareñ pahle-pahal kī bāteñ
yaad is pyaar kī vo rasm purānī to rahe
terī āñkheñ to baneñ ḳhushk jazīre 'ja.afar'
ye jo dariyā haiñ to dariyāoñ meñ paanī to rahe
husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe
zindagani tere hone ki nishani to rahe
us ki KHatir to gawara koi ban-bas bhi hai
sab ke honTon pe meri ram-kahani to rahe
zabt mein ye bhi hai goyai ka apna andaz
lab hon KHamosh magar ashk-fishani to rahe
gar ujalon se gurezan hai dhundlakon mein to aa
din ba-har-taur kaTa sham suhani to rahe
tu na shirin na main farhad magar yun to milen
hum rahen ya na rahen apni kahani to rahe
aao kuchh der karen pahle-pahal ki baaten
yaad is pyar ki wo rasm purani to rahe
teri aankhen to banen KHushk jazire 'jafar'
ye jo dariya hain to dariyaon mein pani to rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.