husn-e-butan ka ishq meri jaan ho gaya
husn-e-butāñ kā ishq mirī jaan ho gayā
ye kufr ab to hāsil-e-īmān ho gayā
ai zabt-e-dil ye kaisī qayāmat guzar ga.ī
dīvāngī meñ chaak garebān ho gayā
vo ban sañvar ke phir mirī mahfil meñ aa ga.e
baiThe-biThā.e hashr kā sāmān ho gayā
kar ke siñghār aa.e vo aisī adā ke saath
ā.īna un ko dekh ke hairān ho gayā
dekhā jo us sanam ko to mahsūs ye huā
jalva ḳhudā kā sūrat-e-insān ho gayā
sab merā ishq dekh ke lete haiñ terā naam
maiñ bhī tire jamāl kī pahchān ho gayā
puujā kareñge us kī 'fanā' ham tamām 'umr
vo but hamāre vāste bhagvān ho gayā
husn-e-butan ka ishq meri jaan ho gaya
ye kufr ab to hasil-e-iman ho gaya
ai zabt-e-dil ye kaisi qayamat guzar gai
diwangi mein chaak gareban ho gaya
wo ban sanwar ke phir meri mahfil mein aa gae
baiThe-biThae hashr ka saman ho gaya
kar ke singhaar aae wo aisi ada ke sath
aaina un ko dekh ke hairan ho gaya
dekha jo us sanam ko to mahsus ye hua
jalwa KHuda ka surat-e-insan ho gaya
sab mera ishq dekh ke lete hain tera nam
main bhi tere jamal ki pahchan ho gaya
puja karenge us ki 'fana' hum tamam 'umr
wo but hamare waste bhagwan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.