husn-e-jaanan ki qayamat hai uThae rakkhe
husn-e-jānāñ ki qayāmat hai uThā.e rakkhe
shahr ke shahr ko dīvāna banā.e rakkhe
ek vo shaḳhs yahāñ thā to baḌī raunaq thī
kaun is shahr meñ ab sham'eñ jalā.e rakkhe
dil pareshāñ thā magar jaan tumhārī ḳhātir
chehra shādāb rakhā baal banā.e rakkhe
hijr meñ haal se behāl hue haiñ ḳhud hī
kis meñ himmat hai ki kamre ko sajā.e rakkhe
dil-e-nādāñ ko 'ajab kaam diyā qudrat ne
ḳhāna-e-jāñ meñ sadā shor machā.e rakkhe
vo jo ojhal hai nigāhoñ se magar dil meñ hai
gar vo chāhe to mirī baat banā.e rakkhe
sheva-e-husn to inkār hī Thahrā 'nāsir'
'ishq ko chāhiye ummīd lagā.e rakkhe
husn-e-jaanan ki qayamat hai uThae rakkhe
shahr ke shahr ko diwana banae rakkhe
ek wo shaKHs yahan tha to baDi raunaq thi
kaun is shahr mein ab sham'en jalae rakkhe
dil pareshan tha magar jaan tumhaari KHatir
chehra shadab rakha baal banae rakkhe
hijr mein haal se behaal hue hain KHud hi
kis mein himmat hai ki kamre ko sajae rakkhe
dil-e-nadan ko 'ajab kaam diya qudrat ne
KHana-e-jaan mein sada shor machae rakkhe
wo jo ojhal hai nigahon se magar dil mein hai
gar wo chahe to meri baat banae rakkhe
shewa-e-husn to inkar hi Thahra 'nasir'
'ishq ko chahiye ummid lagae rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.