husn-e-jaanan ne kiya hai hamein mashur zara
husn-e-jānāñ ne kiyā hai hameñ mas.hūr zarā
dīda-e-shauq ne bhī kar diyā mahsūr zarā
jaan par merī ban aa.ī hai ḳhudā ḳhair kare
chashm-e-qātil ko kare ab koī mastūr zarā
shahr meñ ham se kahāñ pahle koī vāqif thā
nisbat-e-yār se ham bhī hue mash.hūr zarā
ham ne dekhā hai vo sar kaaT diye jaate haiñ
bā-ḳhudā jo bhī yahāñ hote haiñ maġhrūr zarā
har koī jaan hathelī pe yahāñ rakhtā hai
shahr-e-dil kā ba-ḳhudā haT ke he dastūr zarā
ham ko mat sahl samajhnā are nādān kabhī
bas-ki ham vaqt ke hāthoñ hue majbūr zarā
dekhnā kaise tumhārā ye futūr utregā
tum ki tāqat ke nashe meñ ho abhī chuur zarā
har qadam soch ke ham ko ab uThānā hogā
bas-ki manzil hai hamārī abhī kuchh duur zarā
mushkiloñ se kabhī ghabrāte nahīñ 'ash.har' ham
bas-ki hālāt ke hāthoñ hue ranjūr zarā
husn-e-jaanan ne kiya hai hamein mashur zara
dida-e-shauq ne bhi kar diya mahsur zara
jaan par meri ban aai hai KHuda KHair kare
chashm-e-qatil ko kare ab koi mastur zara
shahr mein hum se kahan pahle koi waqif tha
nisbat-e-yar se hum bhi hue mashhur zara
hum ne dekha hai wo sar kaT diye jate hain
ba-KHuda jo bhi yahan hote hain maghrur zara
har koi jaan hatheli pe yahan rakhta hai
shahr-e-dil ka ba-KHuda haT ke he dastur zara
hum ko mat sahl samajhna are nadan kabhi
bas-ki hum waqt ke hathon hue majbur zara
dekhna kaise tumhaara ye futur utrega
tum ki taqat ke nashe mein ho abhi chur zara
har qadam soch ke hum ko ab uThana hoga
bas-ki manzil hai hamari abhi kuchh dur zara
mushkilon se kabhi ghabraate nahin 'ashhar' hum
bas-ki haalat ke hathon hue ranjur zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.