husn-e-KHud-bin ka ishaara mujhe malum na tha
husn-e-ḳhud-bīñ kā ishāra mujhe ma.alūm na thā
un kī āñkhoñ meñ hai shikva mujhe ma.alūm na thā
ab sivā marsiya-e-kam-nigahī kyā kahiye
sāmne thā mire jalva mujhe ma.alūm na thā
mujh ko shikva nahīñ kuchh ātish-e-gul se lekin
āshiyāñ yuuñ bhī jalegā mujhe ma.alūm na thā
gum huī gesū-e-jānāñ kī siyāhī is meñ
itnī tārīk hai duniyā mujhe ma.alūm na thā
ḳhūn-e-dil jis ke liye sarf kiyā hai maiñ ne
vo hai tārīk ujālā mujhe ma.alūm na thā
duur tak naqsh-e-qadam hai na nishān-e-sajda
maiñ huuñ is raah meñ tanhā mujhe ma.alūm na thā
maiñ ġham-e-ahd-e-ta.alluq ko bhulā baiThā thā
dil kā har zaḳhm hai taaza mujhe ma.alūm na thā
dekh kar husn kā utrā huā chehra gum huuñ
un kā ye haal bhī hogā mujhe ma.alūm na thā
aur bhī kuchh dar-e-zindāñ se nikalte hī 'vafā'
saḳht ho jā.egā pahra mujhe ma.alūm na thā
husn-e-KHud-bin ka ishaara mujhe malum na tha
un ki aankhon mein hai shikwa mujhe malum na tha
ab siwa marsiya-e-kam-nigahi kya kahiye
samne tha mere jalwa mujhe malum na tha
mujh ko shikwa nahin kuchh aatish-e-gul se lekin
aashiyan yun bhi jalega mujhe malum na tha
gum hui gesu-e-jaanan ki siyahi is mein
itni tarik hai duniya mujhe malum na tha
KHun-e-dil jis ke liye sarf kiya hai main ne
wo hai tarik ujala mujhe malum na tha
dur tak naqsh-e-qadam hai na nishan-e-sajda
main hun is rah mein tanha mujhe malum na tha
main gham-e-ahd-e-talluq ko bhula baiTha tha
dil ka har zaKHm hai taza mujhe malum na tha
dekh kar husn ka utra hua chehra gum hun
un ka ye haal bhi hoga mujhe malum na tha
aur bhi kuchh dar-e-zindan se nikalte hi 'wafa'
saKHt ho jaega pahra mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.