husn-e-na-mumkin ko honTon ne chhua phir kya hua
husn-e-na-mumkin ko hoñToñ ne chhuā phir kyā huā
apnī be-rabtī pe dil uljhā rahā phir kyā huā
raat din milte rahe aflāk ke saa.e tale
raat aur din meñ vahī parda rahā phir kyā huā
jhuuT ko sach par fazīlat hī rahī barsoñ ke baad
dūsroñ ne sach ko bhī sachchā kahā phir kyā huā
garm thā bāzār-e-hastī sau jatan ke bāvajūd
ruuh kā yā jism kā saudā huā phir kyā huā
aaj us ko ho na ho raste meñ milnā hai zarūr
raat us ne ḳhvāb meñ parda kiyā phir kyā huā
umr bhar chaltī rahī duniyā-e-hijrāñ par dhanak
jāgtī āñkhoñ meñ ik sapnā rahā phir kyā huā
un ko ab merī kahānī meñ ye dilchaspī hai kyoñ
haañ mujhe is daur ne Thukrā diyā phir kyā huā
phal gire patte gire aa.ī ga.ī fasl-e-bahār
sab ne pūchhā kyā huā dil ne kahā phir kyā huā
husn-e-na-mumkin ko honTon ne chhua phir kya hua
apni be-rabti pe dil uljha raha phir kya hua
raat din milte rahe aflak ke sae tale
raat aur din mein wahi parda raha phir kya hua
jhuT ko sach par fazilat hi rahi barson ke baad
dusron ne sach ko bhi sachcha kaha phir kya hua
garm tha bazar-e-hasti sau jatan ke bawajud
ruh ka ya jism ka sauda hua phir kya hua
aaj us ko ho na ho raste mein milna hai zarur
raat us ne KHwab mein parda kiya phir kya hua
umr bhar chalti rahi duniya-e-hijran par dhanak
jagti aankhon mein ek sapna raha phir kya hua
un ko ab meri kahani mein ye dilchaspi hai kyon
han mujhe is daur ne Thukra diya phir kya hua
phal gire patte gire aai gai fasl-e-bahaar
sab ne puchha kya hua dil ne kaha phir kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.