husn-e-tadbir bhi tha KHubi-e-taqdir bhi tha
husn-e-tadbīr bhī thā ḳhūbī-e-taqdīr bhī thā
tū ne dekhā hī nahīñ maiñ tirī tasvīr bhī thā
umr-bhar ahl-e-mohabbat ko pata hī na chalā
vaqt us zaḳhm-e-jigar ke liye zanjīr bhī thā
kyā huā ashk ki jo zīnat-e-mizhgāñ ho kar
hāsil-e-dard bhī thā dard kī tafsīr bhī thā
thī zabāñ band tirī bazm meñ lekin kuchh yuuñ
dil dhaḌaktā thā ki ik ālam-e-taqrīr bhī thā
fikr farmāte jo arbāb-e-hunar ai 'nashtar'
aap ke daur meñ 'ġhālib' hī nahīñ 'mīr' bhī thā
husn-e-tadbir bhi tha KHubi-e-taqdir bhi tha
tu ne dekha hi nahin main teri taswir bhi tha
umr-bhar ahl-e-mohabbat ko pata hi na chala
waqt us zaKHm-e-jigar ke liye zanjir bhi tha
kya hua ashk ki jo zinat-e-mizhgan ho kar
hasil-e-dard bhi tha dard ki tafsir bhi tha
thi zaban band teri bazm mein lekin kuchh yun
dil dhaDakta tha ki ek aalam-e-taqrir bhi tha
fikr farmate jo arbab-e-hunar ai 'nashtar'
aap ke daur mein 'ghaalib' hi nahin 'mir' bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.