husn-e-taKHil ka paikar Thahra
husn-e-taḳh.īl kā paikar Thahrā
jo mire dard kā mehvar Thahrā
rang dikhlā.e havāoñ ne bahut
shauq zaḳhmoñ kā payambar Thahrā
jaane kis ghar meñ jalī haiñ sham.eñ
jaane vo kis kā muqaddar Thahrā
kaun ehsās kī tah tak pahuñche
kaun is dasht kā sarvar Thahrā
maiñ sitāroñ kī qabā pahnūñgā
tū agar shaam kā manzar Thahrā
log ghabrā.e hue phirte haiñ
kaun is daur kā rahbar Thahrā
'kāzmī' sabr o vafā kā shā.ir
goyā ḳhvāboñ kā samundar Thahrā
husn-e-taKHil ka paikar Thahra
jo mere dard ka mehwar Thahra
rang dikhlae hawaon ne bahut
shauq zaKHmon ka payambar Thahra
jaane kis ghar mein jali hain shamen
jaane wo kis ka muqaddar Thahra
kaun ehsas ki tah tak pahunche
kaun is dasht ka sarwar Thahra
main sitaron ki qaba pahnunga
tu agar sham ka manzar Thahra
log ghabrae hue phirte hain
kaun is daur ka rahbar Thahra
'kazmi' sabr o wafa ka shair
goya KHwabon ka samundar Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.