husn-e-tamasha dost chhupe kyon hijab mein
husn-e-tamasha dost chhupe kyon hijab mein
Syed Zaheer Ahmad Zaidi
MORE BYSyed Zaheer Ahmad Zaidi
husn-e-tamāshā dost chhupe kyoñ hijāb meñ
sau jalve rūnumā haiñ kisī ke naqāb meñ
ai kaif-e-be-ḳhudī mujhe le jā usī jagah
haiñ sar-ba-sajda saiñkaḌoñ jis kī janāb meñ
ai dard Thahr Thahr mirī justujū ko dekh
maiñ un ko dekhtā huuñ hazāroñ naqāb meñ
har maut kā hai rāz-e-nihāñ zindagī davām
har zindagī bahār hai ḳhāna-ḳharāb meñ
ban ban ke hai bigaḌne meñ ik shān-e-dilbarī
ik taaza zindagī hai har ik inqalāb meñ
mar mar ke ham ne martaba hāsil kiyā hai ye
rang-e-shabāb laayā hai bachpan hijāb meñ
dariyā meñ aaj kis kā safīna huā tabāh
kyoñ DabDabā.e ashk ye chashm-e-habāb meñ
ai jazb-e-shauq Thahr na baḌh tū hudūd se
rāz-e-nihāñ ayaañ na ho chashm-e-pur-āb meñ
'sayyad' ye ishq aur hasīnoñ kī mahfileñ
sab ḳhvāb hai jo dekh rahe ho shabāb meñ
husn-e-tamasha dost chhupe kyon hijab mein
sau jalwe runuma hain kisi ke naqab mein
ai kaif-e-be-KHudi mujhe le ja usi jagah
hain sar-ba-sajda sainkaDon jis ki janab mein
ai dard Thahr Thahr meri justuju ko dekh
main un ko dekhta hun hazaron naqab mein
har maut ka hai raaz-e-nihan zindagi dawam
har zindagi bahaar hai KHana-KHarab mein
ban ban ke hai bigaDne mein ek shan-e-dilbari
ek taza zindagi hai har ek inqalab mein
mar mar ke hum ne martaba hasil kiya hai ye
rang-e-shabab laya hai bachpan hijab mein
dariya mein aaj kis ka safina hua tabah
kyon DabDabae ashk ye chashm-e-habab mein
ai jazb-e-shauq Thahr na baDh tu hudud se
raaz-e-nihan ayan na ho chashm-e-pur-ab mein
'sayyad' ye ishq aur hasinon ki mahfilen
sab KHwab hai jo dekh rahe ho shabab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.