husn hai dad-talab shikwa-e-bedad na kar
husn hai dād-talab shikva-e-bedād na kar
ishq kī fat.h isī meñ hai ki fariyād na kar
hai agar himmat-e-parvāz to ai murġh-e-asīr
tā.er-e-rūh ko minnat-kash-e-sayyād na kar
tishna-e-lazzat-e-ġham hai dil-e-pur-dard hunūz
tū abhī tark-e-sitam ai sitam-ījād na kar
ham-nashīñ apne muqaddar kī shikāyat karke
merī ra.anā.ī-e-afkār ko barbād na kar
tujh ko sayyād mire zauq-e-asīrī kī qasam
chhoḌ de ham-qafasoñ ko mujhe āzād na kar
vo na aa.e haiñ na ā.eñge palaT kar 'maikash'
aise guzre hue lamhāt ko ab yaad na kar
husn hai dad-talab shikwa-e-bedad na kar
ishq ki fath isi mein hai ki fariyaad na kar
hai agar himmat-e-parwaz to ai murgh-e-asir
taer-e-ruh ko minnat-kash-e-sayyaad na kar
tishna-e-lazzat-e-gham hai dil-e-pur-dard hunuz
tu abhi tark-e-sitam ai sitam-ijad na kar
ham-nashin apne muqaddar ki shikayat karke
meri ranai-e-afkar ko barbaad na kar
tujh ko sayyaad mere zauq-e-asiri ki qasam
chhoD de ham-qafason ko mujhe aazad na kar
wo na aae hain na aaenge palaT kar 'maikash'
aise guzre hue lamhat ko ab yaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.