husn hai maghrur dil saudai hai
husn hai maġhrūr dil saudā.ī hai
ishq aur nafrat meñ hāthā-pā.ī hai
dhaḌkanoñ meñ kar diyā paidā fasād
har adā meñ terī ik balvā.ī hai
ham ne ḳhud dekhī hai dast-e-ġhair meñ
terī to tasvīr bhī harjā.ī hai
vajd āñkhoñ meñ hai baasī niiñd kā
vasl kī jab se karam-farmā.ī hai
tum ko dekhe bin guzarnā chheḌ thā
dil pe mat lo dāġh-e-dil dukh-dā.ī hai
dil-lagī hai ibtidā-e-dilbarī
chāhatoñ meñ chheḌ-chhāḌ achchhā.ī hai
kitnī sharmīlī hai 'mannān' us kī yaad
dard ke parde meñ chhap kar aa.ī hai
husn hai maghrur dil saudai hai
ishq aur nafrat mein hatha-pai hai
dhaDkanon mein kar diya paida fasad
har ada mein teri ek balwai hai
hum ne KHud dekhi hai dast-e-ghair mein
teri to taswir bhi harjai hai
wajd aankhon mein hai basi nind ka
wasl ki jab se karam-farmai hai
tum ko dekhe bin guzarna chheD tha
dil pe mat lo dagh-e-dil dukh-dai hai
dil-lagi hai ibtida-e-dilbari
chahaton mein chheD-chhaD achchhai hai
kitni sharmili hai 'mannan' us ki yaad
dard ke parde mein chhap kar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.