husn jazib-nazar na ho jae
husn jāzib-nazar na ho jaa.e
haal dil kā digar na ho jaa.e
Dar lagā hai mujhe raqīboñ se
rāz-e-dil kī ḳhabar na ho jaa.e
khul na jaa.e ye rāz-e-ishq kahīñ
zindagī dard-e-sar na ho jaa.e
vasl-e-gul kī isī tamanna meñ
zindagānī basar na ho jaa.e
jān-e-jāñ intizār meñ tere
shaam apnī sahar na ho jaa.e
dil ko dhaḌkā hai terī mahfil meñ
ġhair kā bhī guzar na ho jaa.e
ḳhvāb-e-rāhat harām hai apnā
dāna-pānī zahr na ho jaa.e
ḳhauf hai un ke is taġhāful se
ḳhuun apnā jigar na ho jaa.e
kyā ajab hai vufūr-e-ġham se ab
naala phir bā-asar na ho jaa.e
ai havas tere paas rahne se
dāman-e-pāk tar na ho jaa.e
ḳhāmushī se tumhārī ai 'ahqar'
bad-gumāñ nāma-bar na ho jaa.e
husn jazib-nazar na ho jae
haal dil ka digar na ho jae
Dar laga hai mujhe raqibon se
raaz-e-dil ki KHabar na ho jae
khul na jae ye raaz-e-ishq kahin
zindagi dard-e-sar na ho jae
wasl-e-gul ki isi tamanna mein
zindagani basar na ho jae
jaan-e-jaan intizar mein tere
sham apni sahar na ho jae
dil ko dhaDka hai teri mahfil mein
ghair ka bhi guzar na ho jae
KHwab-e-rahat haram hai apna
dana-pani zahr na ho jae
KHauf hai un ke is taghaful se
KHun apna jigar na ho jae
kya ajab hai wufur-e-gham se ab
nala phir ba-asar na ho jae
ai hawas tere pas rahne se
daman-e-pak tar na ho jae
KHamushi se tumhaari ai 'ahqar'
bad-guman nama-bar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.