husn jab tak KHafa nahin hota
husn jab tak ḳhafā nahīñ hotā
āshiqī meñ mazā nahīñ hotā
pūjnā mat use ḳhudā ke liye
koī bhī but ḳhudā nahīñ hotā
tark-e-ulfat kā ye na ho āġhāz
āj-kal vo ḳhafā nahīñ hotā
ham bhī ġhaflat meñ umr bhar rahte
gar adū ko sunā nahīñ hotā
kyoñ kisī ko haqīr kahte ho
rang ḳhuuñ kā judā nahīñ hotā
apnī taqdīr ḳhud banā liije
vaqt achchhā burā nahīñ hotā
is ke aage haiñ mushkileñ āsāñ
mard-e-momin se kyā nahīñ hotā
detā 'zākir' sadā anal-haq kī
gar zamīñ par khaḌā nahīñ hotā
husn jab tak KHafa nahin hota
aashiqi mein maza nahin hota
pujna mat use KHuda ke liye
koi bhi but KHuda nahin hota
tark-e-ulfat ka ye na ho aaghaz
aaj-kal wo KHafa nahin hota
hum bhi ghaflat mein umr bhar rahte
gar adu ko suna nahin hota
kyon kisi ko haqir kahte ho
rang KHun ka juda nahin hota
apni taqdir KHud bana lije
waqt achchha bura nahin hota
is ke aage hain mushkilen aasan
mard-e-momin se kya nahin hota
deta 'zakir' sada anal-haq ki
gar zamin par khaDa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.