husn jo lab kusha hua ghunche chaTak chaTak gae
husn jo lab kushā huā ġhunche chaTak chaTak ga.e
ham to harīm-e-nāz meñ aaj bahak bahak ga.e
garmī-e-chashm-e-mast se shīshe darak darak ga.e
jaam chhalak chhalak ga.e riñd bahak bahak ga.e
husn kī bārgāh meñ kah na sake hadīs-e-ġham
aañkh uThī na lab hile ham hī jhijak jhijak ga.e
us se bichhaḌ ke umr bhar phirte rahe haiñ dar-ba-dar
manzileñ sar huiiñ magar raah bhaTak bhaTak ga.e
aa.ī jo muddatoñ ke ba.ad us but-e-hīla-jū kī yaad
zabt ke bāvajūd 'rāz' ashk Tapak Tapak ga.e
husn jo lab kusha hua ghunche chaTak chaTak gae
hum to harim-e-naz mein aaj bahak bahak gae
garmi-e-chashm-e-mast se shishe darak darak gae
jam chhalak chhalak gae rind bahak bahak gae
husn ki bargah mein kah na sake hadis-e-gham
aankh uThi na lab hile hum hi jhijak jhijak gae
us se bichhaD ke umr bhar phirte rahe hain dar-ba-dar
manzilen sar huin magar rah bhaTak bhaTak gae
aai jo muddaton ke baad us but-e-hila-ju ki yaad
zabt ke bawajud 'raaz' ashk Tapak Tapak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.