husn ka eatibar mat karna
husn kā e.atibār mat karnā
chaḌhte sūraj se pyaar mat karnā
ḳhūn-e-nāhaq se sar-zamīn-e-vatan
tum kabhī lāla-zār mat karnā
shaaq hogī chaman kī tanhā.ī
panchhiyoñ kā shikār mat karnā
jā rahā huuñ maiñ tujh se duur bahut
ab mirā intizār mat karnā
zindagī ik fareb hai 'āzar'
is kā tum e.atibār mat karnā
husn ka eatibar mat karna
chaDhte suraj se pyar mat karna
KHun-e-nahaq se sar-zamin-e-watan
tum kabhi lala-zar mat karna
shaq hogi chaman ki tanhai
panchhiyon ka shikar mat karna
ja raha hun main tujh se dur bahut
ab mera intizar mat karna
zindagi ek fareb hai 'azar'
is ka tum eatibar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.