husn ke ghamze bhi dekhe hain sitam dekhe hain
husn ke ġhamze bhī dekhe haiñ sitam dekhe haiñ
dil pe jo kuchh bhī hue haiñ vo karam dekhe haiñ
ahl-e-dil ne jinheñ āsār-e-qayāmat samjhā
ham ne āñkhoñ se vahī naqsh-e-qadam dekhe haiñ
apne hī pūjne vāloñ ko jo dete haiñ sazā
ma.abad-e-ishq meñ aise bhī sanam dekhe haiñ
tujh ko ma.alūm nahīñ gardish-e-daurāñ ham ne
ba.az-auqāt qayāmat ke qadam dekhe haiñ
un kī mastāna-ḳhirāmī ke jilau meñ ham ne
aish dekhe haiñ kabhī aur kabhī ġham dekhe haiñ
kyā mohabbat ke haqā.eq kā pata deñ tum ko
jazba-e-shauq se ubhre to alam dekhe haiñ
marzī-e-dost pe 'bāsit' jo miTā deñ ḳhud ko
aise jāñbāz zarā ham ne bhī kam dekhe haiñ
husn ke ghamze bhi dekhe hain sitam dekhe hain
dil pe jo kuchh bhi hue hain wo karam dekhe hain
ahl-e-dil ne jinhen aasar-e-qayamat samjha
hum ne aankhon se wahi naqsh-e-qadam dekhe hain
apne hi pujne walon ko jo dete hain saza
mabad-e-ishq mein aise bhi sanam dekhe hain
tujh ko malum nahin gardish-e-dauran hum ne
baz-auqat qayamat ke qadam dekhe hain
un ki mastana-KHirami ke jilau mein hum ne
aish dekhe hain kabhi aur kabhi gham dekhe hain
kya mohabbat ke haqaeq ka pata den tum ko
jazba-e-shauq se ubhre to alam dekhe hain
marzi-e-dost pe 'basit' jo miTa den KHud ko
aise jaanbaz zara hum ne bhi kam dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.