husn ke gun gin sakun ye gun kahan rakhta hun main
husn ke gun gin sakūñ ye gun kahāñ rakhtā huuñ maiñ
lab nahīñ khulte magar zauq-e-bayāñ rakhtā huuñ maiñ
lau jahāñ dī sham.a ne maiñ bhī taḌap kar jal bujhā
fitrat-e-parvāna-e-ātish-ba-jāñ rakhtā huuñ maiñ
phir mire dāman meñ koī phuul khiltā hī nahīñ
jab zarā qaabū meñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ rakhtā huuñ maiñ
be-luTā.e kaT nahīñ saktī matā.a-e-ishq-e-dost
daulat-e-begāna-e-ḳhauf-e-zamāñ rakhtā huuñ maiñ
gulshan-e-jamhūr ho yā jannat-e-mazdūr ho
kuchh alag in se zamīn-o-āsmāñ rakhtā huuñ maiñ
toḌ detā hai tilism-e-har-nizām-e-pur-fareb
dil meñ jo dard-e-kasāñ-o-nā-kasāñ rakhtā huuñ maiñ
ḳhirman-e-bātil unhīñ se hogā 'ārif' sho.ala-rū
fikr kī har mauj meñ vo bijliyāñ rakhtā huuñ maiñ
husn ke gun gin sakun ye gun kahan rakhta hun main
lab nahin khulte magar zauq-e-bayan rakhta hun main
lau jahan di shama ne main bhi taDap kar jal bujha
fitrat-e-parwana-e-atish-ba-jaan rakhta hun main
phir mere daman mein koi phul khilta hi nahin
jab zara qabu mein chashm-e-KHun-fishan rakhta hun main
be-luTae kaT nahin sakti mataa-e-ishq-e-dost
daulat-e-begana-e-KHauf-e-zaman rakhta hun main
gulshan-e-jamhur ho ya jannat-e-mazdur ho
kuchh alag in se zamin-o-asman rakhta hun main
toD deta hai tilism-e-har-nizam-e-pur-fareb
dil mein jo dard-e-kasan-o-na-kasan rakhta hun main
KHirman-e-baatil unhin se hoga 'arif' shoala-ru
fikr ki har mauj mein wo bijliyan rakhta hun main
- Book : متاع دل و جاں (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.