husn ke pyar ke sukh dukh ke tarane gum hain
husn ke pyaar ke sukh dukh ke tarāne gum haiñ
vaqt kī god meñ kyā kyā na ḳhazāne gum haiñ
duur tak ġham kā dhuāñ ek bhayānak sā samāñ
ab rukeñ bhī to kahāñ saare Thikāne gum haiñ
kis ko mālūm hai tārīḳh ke tah-ḳhānoñ meñ
kitne ḳhvāboñ ke jahāñ kitne zamāne gum haiñ
koī mai-ḳhāna rahā na koī vīrāna rahā
do hī bas apne Thikāne the Thikāne gum haiñ
saaz bhī ruuTh ga.e taar bhī sab TuuT ga.e
bahr-e-ḳhāmosh meñ 'mad.hosh' tarāne gum haiñ
husn ke pyar ke sukh dukh ke tarane gum hain
waqt ki god mein kya kya na KHazane gum hain
dur tak gham ka dhuan ek bhayanak sa saman
ab ruken bhi to kahan sare Thikane gum hain
kis ko malum hai tariKH ke tah-KHanon mein
kitne KHwabon ke jahan kitne zamane gum hain
koi mai-KHana raha na koi virana raha
do hi bas apne Thikane the Thikane gum hain
saz bhi ruTh gae tar bhi sab TuT gae
bahr-e-KHamosh mein 'madhosh' tarane gum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.