husn ke samne hum shama jalate kaise
husn ke sāmne ham sham.a jalāte kaise
ā.ina-sāz ko ā.īna dikhāte kaise
us kā andāz-e-sitam ham ko bahut raas aaya
varna duniyā ke sitam aur uThāte kaise
laakh chāhā ki mohabbat kā na iz.hār kareñ
phir bhī chehre ke ta.assur ko chhupāte kaise
jis ko ma.alūm nahīñ dil kī tabāhī kā sabab
dāstāñ us ko mohabbat kī sunāte kaise
ye mirī shoḳh-nigāhī kā asar hai 'ambar'
varna ghabrā ke vo chilman ko uThāte kaise
husn ke samne hum shama jalate kaise
aaina-saz ko aaina dikhate kaise
us ka andaz-e-sitam hum ko bahut ras aaya
warna duniya ke sitam aur uThate kaise
lakh chaha ki mohabbat ka na izhaar karen
phir bhi chehre ke tassur ko chhupate kaise
jis ko malum nahin dil ki tabahi ka sabab
dastan us ko mohabbat ki sunate kaise
ye meri shoKH-nigahi ka asar hai 'ambar'
warna ghabra ke wo chilman ko uThate kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.