Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ke waswase se bahar mil

Imran Rahib

husn ke waswase se bahar mil

Imran Rahib

MORE BYImran Rahib

    husn ke vasvase se bāhar mil

    mujhe aa.ine se bāhar mil

    rakh bharam kuchh to be-libāsī

    sharm ke dā.ere se bāhar mil

    māvarā nazm ho bandish se

    mujhe qāfiye se bāhar mil

    vajd kaifiyat meñ chhū mujh ko

    hosh ke dā.ere se bāhar mil

    pyaar ke raag raag rahne de

    ishq ke falsafe se bāhar mil

    abr jhoñpaḌī se bāhar aa

    ret ke qāfile se bāhar mil

    khol na tāqche ko ujlat meñ

    chain se hausle se bāhar mil

    ḳhvāb bārgah meñ hāzir ho

    niiñd ke zāviye se bāhar mil

    khīñch le vaqt tanāboñ ko

    jism ke fāsle se bāhar mil

    kyā kahā jism nochnā hai tujhe

    shaam ke hāshiye se bāhar mil

    ḳhaak par pheñk de añgūThī ko

    ghar ke is faisle se bāhar mil

    dekh hijr musībat meñ

    vasl ke hādse se bāhar mil

    be-ḳhatar haath thaam 'rāhib'

    ḳhauf ke silsile se bāhar mil

    husn ke waswase se bahar mil

    tu mujhe aaine se bahar mil

    rakh bharam kuchh to be-libasi ka

    sharm ke daere se bahar mil

    mawara nazm ki ho bandish se

    tu mujhe qafiye se bahar mil

    wajd ki kaifiyat mein chhu mujh ko

    hosh ke daere se bahar mil

    pyar ke rag rag rahne de

    ishq ke falsafe se bahar mil

    abr ki jhonpaDi se bahar aa

    ret ke qafile se bahar mil

    khol na taqche ko ujlat mein

    chain se hausle se bahar mil

    KHwab ki bargah mein hazir ho

    nind ke zawiye se bahar mil

    khinch le waqt ki tanabon ko

    jism ke fasle se bahar mil

    kya kaha jism nochna hai tujhe

    sham ke hashiye se bahar mil

    KHak par phenk de anguThi ko

    ghar ke is faisle se bahar mil

    dekh ja hijr ki musibat mein

    wasl ke hadse se bahar mil

    be-KHatar hath tham 'rahib' ka

    KHauf ke silsile se bahar mil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now