husn KHud jalwa-numai pe hai majbur miyan
husn ḳhud jalva-numā.ī pe hai majbūr miyāñ
jāniye ishq ko ek mujrim-e-ma.azūr miyāñ
qurb gar aur na baḌh jaa.e to merā zimma
khīñch kar dekhiye apne ko zarā duur miyāñ
mil rahī hai hameñ qismat se vo sahbā ki jise
pī ke hotā nahīñ koī bhī maḳhmūr miyāñ
apnī rātoñ ko jo bedār rakhā karte haiñ
un kī bedārī ko darkār hai ik suur miyāñ
ishq vo naar ki dekhe se dikhā.ī na paḌe
husn vo nuur ki rahtā nahīñ mastūr miyāñ
ehtirām-e-gul-o-lāla ba-sar-o-chashm magar
bacheñ kāñToñ se ye apnā nahīñ dastūr miyāñ
tum jab aate ho to kuchh aisā lagā kartā hai
jaise jannat se utar aa.ī ho ik huur miyāñ
ham ne sau baar basāyā use ummīdoñ se
dil vo bastī hai jo rahtī nahīñ māmūr miyāñ
daar par chaḌhne kī tāqat nahīñ 'arshī' meñ abhī
sar se pā tak hai shikastoñ se badan chuur miyāñ
husn KHud jalwa-numai pe hai majbur miyan
jaaniye ishq ko ek mujrim-e-mazur miyan
qurb gar aur na baDh jae to mera zimma
khinch kar dekhiye apne ko zara dur miyan
mil rahi hai hamein qismat se wo sahba ki jise
pi ke hota nahin koi bhi maKHmur miyan
apni raaton ko jo bedar rakha karte hain
un ki bedari ko darkar hai ek sur miyan
ishq wo nar ki dekhe se dikhai na paDe
husn wo nur ki rahta nahin mastur miyan
ehtiram-e-gul-o-lala ba-sar-o-chashm magar
bachen kanTon se ye apna nahin dastur miyan
tum jab aate ho to kuchh aisa laga karta hai
jaise jannat se utar aai ho ek hur miyan
hum ne sau bar basaya use ummidon se
dil wo basti hai jo rahti nahin mamur miyan
dar par chaDhne ki taqat nahin 'arshi' mein abhi
sar se pa tak hai shikaston se badan chur miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.