husn KHud mein na hua jalwa-numa mere baad
husn ḳhud meñ na huā jalva-numā mere baad
raas kyā aatī zamāne kī havā mere baad
myaan se niklī na shamshīr-e-jafā mere baad
raqs-e-bismil kā tamāsha na huā mere baad
pās-e-dastūr na saaqī ko rahā mere baad
dar-e-mai-ḳhāna khulā chhoḌ diyā mere baad
ik mire uThne se dil baiTh gayā rindoñ kā
jaam uThe aur na shīsha hī jhukā mere baad
har qadam dūrī-e-manzil kī taraf le ke gayā
rāsta bhuul ga.e rāh-numā mere baad
bār-e-ehsān se dab jaa.e na turbat 'āzād'
chādar-e-gul se na marqad ko sajā mere baad
husn KHud mein na hua jalwa-numa mere baad
ras kya aati zamane ki hawa mere baad
myan se nikli na shamshir-e-jafa mere baad
raqs-e-bismil ka tamasha na hua mere baad
pas-e-dastur na saqi ko raha mere baad
dar-e-mai-KHana khula chhoD diya mere baad
ek mere uThne se dil baiTh gaya rindon ka
jam uThe aur na shisha hi jhuka mere baad
har qadam duri-e-manzil ki taraf le ke gaya
rasta bhul gae rah-numa mere baad
bar-e-ehsan se dab jae na turbat 'azad'
chadar-e-gul se na marqad ko saja mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.