husn ki god mein be-ruKHi so gai
husn kī god meñ be-ruḳhī so ga.ī
'ishq kī god meñ bandagī so ga.ī
mai-kade meñ na TuuTā kisī kā bharam
daur chaltā rahā tishnagī so ga.ī
maut ne apnā jaadū chalāyā hī thā
tīrgī jaag uThī raushnī so ga.ī
vaqt ke saaz par taan chheḌī hī thī
saaz bajtā rahā naġhmagī so ga.ī
kārvāñ to sar-e-rāh luTte rahe
rahbaroñ kī magar rahbarī so ga.ī
sham' jalne lagī ḳhaak uḌne lagī
maut kī sej par zindagī so ga.ī
chāñd baḌhtā gayā raat kaTtī ga.ī
ġham se āḳhir lipaT kar ḳhushī so ga.ī
ham takalluf ke maare rahe be-ḳhabar
tamkanat jaag uThī sādgī so ga.ī
husn ki god mein be-ruKHi so gai
'ishq ki god mein bandagi so gai
mai-kade mein na TuTa kisi ka bharam
daur chalta raha tishnagi so gai
maut ne apna jadu chalaya hi tha
tirgi jag uThi raushni so gai
waqt ke saz par tan chheDi hi thi
saz bajta raha naghmagi so gai
karwan to sar-e-rah luTte rahe
rahbaron ki magar rahbari so gai
sham' jalne lagi KHak uDne lagi
maut ki sej par zindagi so gai
chand baDhta gaya raat kaTti gai
gham se aaKHir lipaT kar KHushi so gai
hum takalluf ke mare rahe be-KHabar
tamkanat jag uThi sadgi so gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.