husn ki god mein ishq bhi so gaya bandagi se pare
husn kī god meñ 'ishq bhī so gayā bandagī se pare
ham takalluf kī duniyā basāte rahe sādgī se pare
apnā ghūñghaT kalī ne uThāyā jūñhī ḳhaar hañsne lage
ro ke shabnam ye bolī khile gul yahāñ tāzgī se pare
rahbaroñ kī 'ināyat huī qāfile luT ga.e raah meñ
jis ko dekho vahī rahnumā hai yahāñ rahbarī se pare
aap ko dekh kar yuuñ lagā niiñd meñ jaise chauñkā huuñ maiñ
āgahī kā jahāñ maiñ basātā rahā āgahī se pare
jis ko apnā samajhtā rahā 'umr-bhar vo na merā huā
āñsuoñ kā jahāñ bas rahā hai faqat ḳhāmushī se pare
husn ki god mein 'ishq bhi so gaya bandagi se pare
hum takalluf ki duniya basate rahe sadgi se pare
apna ghunghaT kali ne uThaya junhi KHar hansne lage
ro ke shabnam ye boli khile gul yahan tazgi se pare
rahbaron ki 'inayat hui qafile luT gae rah mein
jis ko dekho wahi rahnuma hai yahan rahbari se pare
aap ko dekh kar yun laga nind mein jaise chaunka hun main
aagahi ka jahan main basata raha aagahi se pare
jis ko apna samajhta raha 'umr-bhar wo na mera hua
aansuon ka jahan bas raha hai faqat KHamushi se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.