husn ki har ada pe marta hun
husn kī har adā pe martā huuñ
zindagī terī qadr kartā huuñ
kho na jaa.eñ maze huzūrī ke
saañs lete hue bhī Dartā huuñ
ishq kī hai ye kaun sī manzil
gaah jiitā huuñ gaah martā huuñ
kaun aarif hai azmat-e-ġham kā
miT ke maiñ aur bhī nikhartā huuñ
ho ke pāmāl rāh-e-ulfat meñ
kyā bigaḌtā huuñ kyā sañvartā huuñ
bahr-e-ġham meñ ye fikr kis ko hai
ġharq hotā huuñ yā ubhartā huuñ
ġhair ko rāz-dār kyā kartā
maiñ 'bashīr' aap se bhī Dartā huuñ
husn ki har ada pe marta hun
zindagi teri qadr karta hun
kho na jaen maze huzuri ke
sans lete hue bhi Darta hun
ishq ki hai ye kaun si manzil
gah jita hun gah marta hun
kaun aarif hai azmat-e-gham ka
miT ke main aur bhi nikharta hun
ho ke pamal rah-e-ulfat mein
kya bigaDta hun kya sanwarta hun
bahr-e-gham mein ye fikr kis ko hai
gharq hota hun ya ubharta hun
ghair ko raaz-dar kya karta
main 'bashir' aap se bhi Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.