husn ki kam na hui garmi-e-bazar hanuz
husn kī kam na huī garmī-e-bāzār hanūz
naqd-e-jān tak liye phirte haiñ ḳharīdār hanūz
apnī iisā nafasī key bhī to kuchh sharm karo
chashm-e-bīmār ke bīmār haiñ bīmār hanūz
tā.ir-e-jāñ qafas-e-tan se to chhūTā lekin
dām-e-gesū meñ kisī ke hai giraftār hanūz
ham bhī the roz-e-azal sohbatī-e-bazm-e-alast
bhūltī hī nahīñ vo lazzat-e-guftār hanūz
saath chhoḌā safar-e-mulk-e-adam meñ sab ne
lipTī jaatī hai magar hasrat-e-dīdār hanūz
kyā ḳharābātiyoñ ko hazrat aasī na mile
ke salāmat hai vahī jubba-o-dastār hunūz
husn ki kam na hui garmi-e-bazar hanuz
naqd-e-jaan tak liye phirte hain KHaridar hanuz
apni isa nafasi key bhi to kuchh sharm karo
chashm-e-bimar ke bimar hain bimar hanuz
tair-e-jaan qafas-e-tan se to chhuTa lekin
dam-e-gesu mein kisi ke hai giraftar hanuz
hum bhi the roz-e-azal sohbati-e-bazm-e-alast
bhulti hi nahin wo lazzat-e-guftar hanuz
sath chhoDa safar-e-mulk-e-adam mein sab ne
lipTi jati hai magar hasrat-e-didar hanuz
kya KHarabaatiyon ko hazrat aasi na mile
ke salamat hai wahi jubba-o-dastar hunuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.