husn ki shama ke parwane chale aate hain
husn kī sham.a ke parvāne chale aate haiñ
be-bulā.e hue dīvāne chale aate haiñ
kyā mire dil ko vo samjhāne chale aate haiñ
ya.anī aur aag ko sulgāne chale aate haiñ
fasl-e-bāda bhī nahīñ mast ghaTā.eñ bhī nahīñ
kyoñ chhalakte hue paimāne chale aate haiñ
dard-e-dil dete haiñ aur ḳhud ye karam karte haiñ
rone vāloñ ko vo samjhāne chale aate haiñ
rahm se ḳhālī nahīñ mere liye un kā sitam
is dil-e-zār ko taḌpāne chale aate haiñ
tum na aa.e sitam afsos ayādat ke liye
apne to apne haiñ begāne chale aate haiñ
koī poshīda nahīñ rāz-e-mohabbat lekin
'rāz' hamrāz ko samjhāne chale aate haiñ
husn ki shama ke parwane chale aate hain
be-bulae hue diwane chale aate hain
kya mere dil ko wo samjhane chale aate hain
yani aur aag ko sulgane chale aate hain
fasl-e-baada bhi nahin mast ghaTaen bhi nahin
kyon chhalakte hue paimane chale aate hain
dard-e-dil dete hain aur KHud ye karam karte hain
rone walon ko wo samjhane chale aate hain
rahm se KHali nahin mere liye un ka sitam
is dil-e-zar ko taDpane chale aate hain
tum na aae sitam afsos ayaadat ke liye
apne to apne hain begane chale aate hain
koi poshida nahin raaz-e-mohabbat lekin
'raaz' hamraaz ko samjhane chale aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.