husn ki waqat nahin ab ishq ki sarkar mein
husn kī vaq.at nahīñ ab ishq kī sarkār meñ
bik ga.e yūsuf hazāroñ misr ke bāzār meñ
jo na karnā thā vo rāz-e-ishq zāhir kar diyā
aa ke rusvā ho ga.e ham majma-e-aġhyār meñ
aur se kyā pūchhte haiñ aa ke ham se pūchhiye
kyā maza miltā hai dil ko aap kī guftār meñ
ḳhvāb se bedār hote hī nahīñ haiñ bāda-ḳhvār
aisī mastī hai havā-e-sub.h kī raftār meñ
ishq-e-lailā meñ ye dekhā haal ham ne qais kā
ḳhaak chhānā hī kiyā vo kūcha-o-bāzār meñ
ai masīhā kis tarah hāzir ho tere sāmne
ab sakat uThne kī bhī baaqī nahīñ bīmār meñ
āfat-e-arz-e-samāvī se bachegā apnā ghar
ism-e-āzam jab hai shāmil har dar-o-dīvār meñ
dushmanoñ kā dost ban jaatā hai kuchh din ke liye
aib hotā hai ye aksar mard-e-kaj-raftār meñ
kar nahīñ sakte haiñ aapas meñ vo bāteñ hosh kī
be-ḳhudī kā ye asar hai mai-kash o mai-ḳhvār meñ
be-ḳhabar vo hai to hai ye bā-ḳhabar har gaam se
farq hai ai dil bahut lā-yā'qil-o-hushiyār meñ
dasht-o-gulshan meñ nahīñ 'hāmid' koī dil-bastagī
jī bahaltā hai agar apnā to kū-e-yār meñ
husn ki waqat nahin ab ishq ki sarkar mein
bik gae yusuf hazaron misr ke bazar mein
jo na karna tha wo raaz-e-ishq zahir kar diya
aa ke ruswa ho gae hum majma-e-aghyar mein
aur se kya puchhte hain aa ke hum se puchhiye
kya maza milta hai dil ko aap ki guftar mein
KHwab se bedar hote hi nahin hain baada-KHwar
aisi masti hai hawa-e-subh ki raftar mein
ishq-e-laila mein ye dekha haal hum ne qais ka
KHak chhana hi kiya wo kucha-o-bazar mein
ai masiha kis tarah hazir ho tere samne
ab sakat uThne ki bhi baqi nahin bimar mein
aafat-e-arz-e-samawi se bachega apna ghar
ism-e-azam jab hai shamil har dar-o-diwar mein
dushmanon ka dost ban jata hai kuchh din ke liye
aib hota hai ye aksar mard-e-kaj-raftar mein
kar nahin sakte hain aapas mein wo baaten hosh ki
be-KHudi ka ye asar hai mai-kash o mai-KHwar mein
be-KHabar wo hai to hai ye ba-KHabar har gam se
farq hai ai dil bahut la-ya'qil-o-hushiyar mein
dasht-o-gulshan mein nahin 'hamid' koi dil-bastagi
ji bahalta hai agar apna to ku-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.