husn ko aaKHir KHayal-e-faiz-e-am aa hi gaya
husn ko āḳhir ḳhayāl-e-faiz-e-ām aa hī gayā
aaj koī ḳhud-baḳhud bālā-e-bām aa hī gayā
gardish-e-taqdīr āḳhir kaif-parvar ho ga.ī
mahfil-e-sāqī meñ mujh tak daur-e-jām aa hī gayā
husn kī har peshkash ab rā.egāñ jaane lagī
ishq ko āḳhir ḳhayāl-e-intiqām aa hī gayā
kuchh na thā parvāz meñ shāyad ba-juz āvārgī
ḳhud-baḳhud taa.ir lapak kar zer-e-dām aa hī gayā
jazba-e-ulfat kī ye tāsīr bhī kuchh kam nahīñ
ġhair ke ḳhat meñ hameñ un kā salām aa hī gayā
daad ke qābil thā vaa.iz kā bayān-e-hashr bhī
maiñ to ye samjhā koī mahshar-ḳhirām aa hī gayā
dāvar-e-mahshar ne jab chheḌā vafā kā tazkira
aa gayā un kī zabāñ par merā naam aa hī gayā
mujh ko 'sāhir' dil ne baḳhshī tāqat-e-sabr-o-sukūñ
thā to ye nākām lekin mere kaam aa hī gayā
husn ko aaKHir KHayal-e-faiz-e-am aa hi gaya
aaj koi KHud-baKHud baala-e-baam aa hi gaya
gardish-e-taqdir aaKHir kaif-parwar ho gai
mahfil-e-saqi mein mujh tak daur-e-jam aa hi gaya
husn ki har peshkash ab raegan jaane lagi
ishq ko aaKHir KHayal-e-intiqam aa hi gaya
kuchh na tha parwaz mein shayad ba-juz aawargi
KHud-baKHud tair lapak kar zer-e-dam aa hi gaya
jazba-e-ulfat ki ye tasir bhi kuchh kam nahin
ghair ke KHat mein hamein un ka salam aa hi gaya
dad ke qabil tha waiz ka bayan-e-hashr bhi
main to ye samjha koi mahshar-KHiram aa hi gaya
dawar-e-mahshar ne jab chheDa wafa ka tazkira
aa gaya un ki zaban par mera nam aa hi gaya
mujh ko 'sahir' dil ne baKHshi taqat-e-sabr-o-sukun
tha to ye nakaam lekin mere kaam aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.