husn ko be-naqab dekha hai
husn ko be-naqāb dekhā hai
jyuuñ khulī aañkh ḳhvāb dekhā hai
kaisā hairāngī kā 'ālam hai
farsh par māhtāb dekhā hai
aap pahlū badal ke añgḌā.e
yā koī inqalāb dekhā hai
aap dīkhe to ye lagā jaise
aarzū kā shabāb dekhā hai
chashm-e-nargis meñ laaj ke Dore
yā ki jām-e-sharāb dekhā hai
naaz kis baat par tujhe hai gul
ham ne terā javāb dekhā hai
āshiyāñ ko qafas samajhte haiñ
ham sā ḳhāna-ḳharāb dekhā hai
saath kāñToñ ke jo nahīñ 'rāhī'
aaj aisā gulāb dekhā hai
husn ko be-naqab dekha hai
jyun khuli aankh KHwab dekha hai
kaisa hairangi ka 'alam hai
farsh par mahtab dekha hai
aap pahlu badal ke angDae
ya koi inqalab dekha hai
aap dikhe to ye laga jaise
aarzu ka shabab dekha hai
chashm-e-nargis mein laj ke Dore
ya ki jam-e-sharab dekha hai
naz kis baat par tujhe hai gul
hum ne tera jawab dekha hai
aashiyan ko qafas samajhte hain
hum sa KHana-KHarab dekha hai
sath kanTon ke jo nahin 'rahi'
aaj aisa gulab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.