husn kya aur dilkashi kya thi
husn kyā aur dilkashī kyā thī
tum na hote to zindagī kyā thī
aas jaagī na thī agar dil meñ
halkī halkī sī raushnī kyā thī
us ko aksar udaas dekhā hai
us kī mahfil meñ kuchh kamī kyā thī
ġhair bhī ham se ab ye pūchheñge
tanhā tanhā ho bebasī kyā thī
miTte miTte bhī aas kahtī hai
tum jo aate to baat hī kyā thī
ham pe guzrī to jaanā ham ne bhī
dil kī dhaḌkan kī be-kalī kyā thī
'rāg' us ne jo pher liiñ āñkheñ
dil lagānā bhī dil-lagī kyā thī
husn kya aur dilkashi kya thi
tum na hote to zindagi kya thi
aas jagi na thi agar dil mein
halki halki si raushni kya thi
us ko aksar udas dekha hai
us ki mahfil mein kuchh kami kya thi
ghair bhi hum se ab ye puchhenge
tanha tanha ho bebasi kya thi
miTte miTte bhi aas kahti hai
tum jo aate to baat hi kya thi
hum pe guzri to jaana hum ne bhi
dil ki dhaDkan ki be-kali kya thi
'rag' us ne jo pher lin aankhen
dil lagana bhi dil-lagi kya thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.