husn kya kya muskuraya ishq ke andaz par
husn kyā kyā muskurāyā ishq ke andāz par
naġhma-e-ġham jab bhī chheḌā ham ne dil ke saaz par
ḳhār-zār-e-zindagī ko bhī banā detā hai ḳhuld
kyoñ na ham īmān laa.eñ ishq ke e.ajāz par
terī apnī zaat meñ muzmar hai husn-e-lam-yazal
kis liye sajde pe sajda jalva-gāh-e-nāz par
jalva-farmā kaun mehr-o-māh ke parde meñ hai
raqs kartā hai nizām-e-dahr kis ke saaz par
bāl-o-par se kab koī pahuñchā farāz-e-arsh tak
ye sa.ādat munhasir hai himmat-e-parvāz par
haiñ vahī maqbūl-e-ālam jo garebāñ-chāk haiñ
har kalī gul ban ga.ī is inkishāf-e-rāz par
aa ga.ī sehn-e-chaman meñ fasl-e-gul to kyā huā
haiñ vahī ġham ke tarāne zindagī ke saaz par
rāz-e-ulfat ġhair se kahnā hai nang-e-āshiqī
naaz thā mansūr ko kyoñ inkishāf-e-rāz par
ishq kī qismat meñ hote haiñ salīb-o-dār bhī
shaad ai 'sābir' na ho tū lazzat-e-āġhāz par
husn kya kya muskuraya ishq ke andaz par
naghma-e-gham jab bhi chheDa hum ne dil ke saz par
KHar-zar-e-zindagi ko bhi bana deta hai KHuld
kyon na hum iman laen ishq ke eajaz par
teri apni zat mein muzmar hai husn-e-lam-yazal
kis liye sajde pe sajda jalwa-gah-e-naz par
jalwa-farma kaun mehr-o-mah ke parde mein hai
raqs karta hai nizam-e-dahr kis ke saz par
baal-o-par se kab koi pahuncha faraaz-e-arsh tak
ye saadat munhasir hai himmat-e-parwaz par
hain wahi maqbul-e-alam jo gareban-chaak hain
har kali gul ban gai is inkishaf-e-raaz par
aa gai sehn-e-chaman mein fasl-e-gul to kya hua
hain wahi gham ke tarane zindagi ke saz par
raaz-e-ulfat ghair se kahna hai nang-e-ashiqi
naz tha mansur ko kyon inkishaf-e-raaz par
ishq ki qismat mein hote hain salib-o-dar bhi
shad ai 'sabir' na ho tu lazzat-e-aghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.